Wednesday, August 26, 2009

Reached Safely to Redmond on Wednesday 1 am India Standard time

Jaisa ke aap sab jaante hain…bina poori baat bataye..main nhi reh sakti…
Aadat u see…
Is liye apna US wala dukh bhara safar( shuru mein thoda dukh…aakhir mein bahut saara
Magar beech ka achcha tha :P ) aap ko likh rhi hun.

Day 1- Sunday evening, 7:30 pm in India
Hum log taxi se Mumbai ke liye nikle…Monday subah 5 baje ki flight thi;
We reached at 11. Ab who airport wale guard ne bola ke 2 baje andar allow karega
Lounge mein baith jaiiye…Delhi mein lounge free tha magar yahan kamino ne ek aadmi
Ke 60 Rs charge kiye and that too u can be in lounge only for 3 hrs (Samien mein monisha nhi hun but u know I become kanjoos in such situation). Anyway as hum dono subah s epacking ke thake the humne ticket liye aur lounge mein baith gaye. Wahan veg sandwich aur small pizza ka dinner kiya (dono nihaytee bakwaas bane the..magar bhooka kya naa karta).
Imran ko neend aa rhi thi but I was bored; maine apna laptop unse nikalwaya( don’t tell me aap logon ko laga ke main laptop bag se khud nikaal paoongi…arre toot photo jaata toh?) and mere system pe GovindA KI MOVIE LIFE PARTNER loaded thi wo dekhi…wahan baithe aur log bhi laptop use kar rhe the…difference was unka laptop plug wahan ke points mein lag gaya..magar mera nhi( arre mera videsi laptop hai naa, plug is different ;) ) so I watched the movie using battery. Movie khatm hone ke aadhe ghante baad we went inside airport lekin wahan bahut saari formalities mein 1 ghanta katt gaya
So after 1 hr we were in flight.


Day 2- Monday morning, 5 am in India
Qatar Airline was quite good,har seat ke peecche small screen tha which was a touch screen; we could touch the screen for power on;there was a main menu; we could choose any movie, any serial from their collection and hear it using the earphones provided ( Zaara earphones free the magar maine churaye nhi…batao Samien ko that I am so gud).
Khair toh phir maine 2-3 “Friends” serial ke episode dekhe…(missed u Sumi and Zaaru)
“Doctor dolittle part 3- million dollar mutt” movie dekhi(ok ok thi)
So hum Doha pahunch gaye in 3-4 hrs(doha is in Qatar…try google map;) )
Wahan checking wagirah ke baad Qatar airways ki doosri flight thi
To New York… usmein pahunch gaye.

Day 2- Monday morning, 9 am in India
Airline wohi thi aur service yahan bhi achchi thi; same collection of movies.
“He’s just not that into you” movie dekhi-this one was good (lots of cast , something like life in a metro…many stories)
15 – 20 min kee “Jai Veeru” dekhi ( ab ye mat poochna ye kaunsi film hai..it stars fardeen khan and kunal khemu…woh gaana hai ismein – Tenu leke chala apne naal…bas us gaane tak hi dekhi…jheli nhi jaa rhi thi)

Then finally mood achcha karne ke liye DDLJ dekhi…badha badha ke( I know…I know..magar who collection mein thi so cud not stop my self)
Aur haan ek episode dekha serial “I dream of Jeanie” ka aur ek episode “how I met ur mother” ka.
Beech beech mei n bahut khaya peeya; Qatarairways ki flight mein Indian lunch aur brkfast serve karte hain; matlab sabzee, roti,chole ,daal,chawal etc..
So bhooke toh bilkul nhi rhi.( ye toh waise aapko andazaa hoga)

Day2 – Monday night, 11 pm in India
We reached new York and wahan immigration check ke counter pe bheja…
Yakeen kariye wahan 8 counter the and 3 log kaam kar rhe the…do toh bahut slow..
In actual one person was handling 30 people..and usi mein humara passport neeche hota gaya
Kyunke unka sada hua system tha…main door wala officer file laake rakhta tha…jo baad mein aate the…unki file upar rakh ke chala jaata tha
Counter wala banda upar se file uthata tha..is chakkar mein 2 ghante lag gaye…balke zyaada..
India ke govt offc wala haal tha…
Finally jab clearance mila humari flight mein aadha ghanta tha…
Baggage bhi lena tha…
Aur jis terminal pe hum the wahan se flight nhi thi…Wahan internal Metro jaisee train chalti hai jo different terminals pahunchatee hai…us se hum pahunche jab tak apne terminal flight ka
Door close ho gaya tha L it was 5:10 pm and 5:30 pm ki flight thi.
Wahan kee us airline wale counter ki bandee ne kaha next flight is tomorrow evening 5 pm…
Phir kynke humein Qatar airways ki flight th…imran us bandee ke paas wapas gaye who boli ke morning ki
8:30 flight hai toh uske liy usne ek note likh ke diya ( they did not as for money…agar hum kisi aur airline se karate toh2 logon ka 1000 dollars pad rha th L and who company nhi deti coz ye wala free offer tha)
Khair raat airport pe guzaari kursi pe soke….u can imagine kitni takleef huy hogi…
Wahn phone th airport mein magar us se international call nhi ho rhi thi…
So hum ghar nhi kar paa rhe the phn.

Day3 – Tuesday night, 8 or 9 pm in India
Finally yahan subah huyi aur hum flight wale terminal 3 pe gaye…3 wale counter pe lady ne kahan 3 se nhi aapko terminal 4 se jaana hai ( hum terminal 4 se hi 3 gaye the…sab saaman laad ke)
Terminal 4 wapas gaye toh wahan ke counter walon ne kaha unhe Qatar airways se koi request mail mein nhi aayi toh who ticket kaise dein.
Qatar airwayska ek bhi employee nhi aaya tha..new york time se flight 8:30 am ki thi…it was 6:45 aur hum dono itne thake the
Ke kabhi bhi gir jaate…magr Imran ne himmat ki aur mujhe wahin chodke terminal 3 phir se gaye ; wahan se Qatar airway walon ko phn kiya (achcha woh terminal 4 ki kamini lady boli main kuch nhi kar sakti Qatar ka number bhi nhi tha uske paas…kuch nhi aata tha usko)..phir Imran ko terminal 3 se ticket mila…
Leke who terminal 4 aaye…wahan phir doosri teesree floor se hum gaye flight gate pe
And finally 8 am pe we were in flight.
Is beech hum kitni baar escalators chade saaman leke main gin nhi sakti…bas escalators chad rhe the aurtrain se safar kar rhe then[Escalators zyaada use karne pade kyunke lifts bhari thi aur humein urgent sab terminals pe jaana hota tha ke kahin ye flight naa choot jaaye]…saamaan wali trolley bhi nhi thi(coz Imran ke paas 5 dollar ka change nhi tha…mujhse kuch uthwa bhi nhi rhe the…khud bechare do bade trolley suitcase kheench rhe the
Aur kandhon pe laptop bag bhi taang hua tha… L .. I had my black bag aur ek chota trolley wala suitcase)

Day4 – Wednesday morning, 1 or 2 am in India
Finally 8:30 am New York time flight chali aur 2 pm New York time hum Seattle pahunch gaye…
Wahan jab baggage aagaya toh phir taxi ki..Anurag ko phn kiya aur uske ghar pahunch gaye..(Imran ko raasta pata tha is liye usko aane se mana kar diya)
Yahan aake 3 din ke baad nahane ko mila…itna sukoon mila ke kya bataoonJ
Sabzee banake rakhkhi thi usne aur readymade wali rotis thi ; saath mein maine thodi daal bana lee..
Phir anurag offc chala gaya…sab kitchen ka aur gahr ka mujhe bata ke…bechara mujhe ek naya Saa kapda jo usne pooja ghar ke paas rakhkha hua tha bhi deke gaya ke namaaz padhnee ho toh ye abhi
Ghar mein use nhi hua hai…pooja ghar cover karne ke liye laaya tha woh)
Khaa peeke Imran so gaye par mujhe neend nhi aarhi thi…

I think this post was enough in terms of my journey :)